6 Kalme
Hazrat Muhammad (S.A.W.) ki ummat ke liye sikhaye gaye 6 kalme, Imane Mujmal aur Imane Mufassal ki tafseel niche di gayi hai:
- La ilaha illallah Muhammadur Rasoolullah.
Maana: Allah ke siwa koi ibadat ke layak nahi aur Hazrat Muhammad (S.A.W.) Allah ke Rasool hain.
Ash-hadu alla ilaha illallahu wahdahu la sharika lahu wa ash-hadu anna Muhammadan ‘abduhu wa Rasooluhu.
- Maana: Main gawahi deta hoon ki Allah ke siwa koi mabood nahi, wo akela hai uska koi shareek nahi, aur main gawahi deta hoon ki Hazrat Muhammad (S.A.W.) Allah ke bande aur Rasool hain.
- Subhanallahi wal hamdu lillahi wa la ilaha illallahu wallahu akbar, wa la hawla wa la quwwata illa billahil ‘aliyyil ‘azeem.
Maana: Allah pak hai, sab tareefein Allah ke liye hain, Allah ke siwa koi mabood nahi aur Allah sabse bada hai. Gunaahon se bachne ki taqat aur neki karne ki quwwat nahi magar Allah ki taraf se jo bahut buland aur azmat wala hai.
- La ilaha illallahu wahdahu la sharika lahu, lahul mulku wa lahul hamdu yuhyi wa yumitu wa huwa hayyul la yamutu abadan abada, dhul jalali wal ikram, biyadihil khair, wa huwa ‘ala kulli shay-in qadeer.
Maana: Allah ke siwa koi mabood nahi, wo akela hai uska koi shareek nahi. Usi ki badshahat hai aur usi ke liye tareef hai. Wahi zinda karta hai aur wahi marta hai, aur wo hamesha hamesha zinda rehne wala hai use kabhi maut nahi aayegi. Wo azmat aur buzurgi wala hai. Usi ke hath mein bhalaayi hai aur wo har cheez par qadir hai.
- Astaghfirullah rabbi min kulli dhambin adhnabtuhu ‘amadan aw khata-an sirran aw ‘alaniyyatan wa atubu ilayhi minadh-dhambil-ladhi a’lamu wa minadh-dhambil-ladhi la a’lamu innaka anta ‘allamul ghuyubi wa sattarul ‘uyubi wa ghaffarudh-dhunubi wa la hawla wa la quwwata illa billahil ‘aliyyil ‘azeem.
Maana: Main apne Parvardigar se apne har us gunaah ki mafi mangta hoon jo maine jaan-bujh kar kiya ya bhool kar, chhup kar kiya ya khule-aam. Main us gunaah se bhi tauba karta hoon jise main janta hoon aur usse bhi jise main nahi janta. Beshak Tu gaibon ko janne wala, aibon ko chhupane wala aur gunaahon ko bakhshne wala hai.
- Allahumma inni a’udhu bika min an ushrika bika shay-an wa ana a’lamu bihi wa astaghfiruka lima la a’lamu bihi tubtu ‘anhu wa tabarra-tu minal kufri wash-shirki wal kidhbi wal ghibati wal bid’ati wan-namimati wal fawahishi wal buhtani wal ma’asi kulliha wa aslamtu wa aqulu la ilaha illallahu Muhammadur Rasoolullah.
Maana: Aye Allah! Main teri panah mangta hoon is baat se ki main tere sath kisi cheez ko shareek karoon jaan-bujh kar, aur mafi mangta hoon us gunaah ki jise main nahi janta. Maine usse tauba ki aur be-zar hua kufr se, shirk se, jhoot se, gheebat se, bida’at se, chughal-khori se, behayayi se, tohmat lagane se aur har tarah ke gunaahon se. Main Islam laya aur kehta hoon ki Allah ke siwa koi mabood nahi aur Hazrat Muhammad (S.A.W.) Allah ke Rasool hain.
Imane Mujmal
- Amantu billahi kama huwa bi-asmaihi wa sifatihi wa qabiltu jami’a ahkamihi.
- Maana: Main iman laya Allah par jaisa ki wo apne naamon aur apni sifaton ke sath hai, aur maine uske tamam ahkamaat (orders) ko qubool kiya.
Imane Mufassal
Imane Mufassal un 6 buniyaadon ka zikr karta hai jin par iman lana har Musalman par farz hai:
- Amantu billahi, wa malaikatihi, wa kutubihi, wa rusulihi, wal yawmil akhiri, wal qadri khayrihi wa sharrihi minallahi ta’ala, wal ba’thi ba’dal mawt.
Maana: Main iman laya:
- Allah par
- Uske farishton par
- Uski kitabon par
- Uske rasoolon par
- Qayamat ke din par
- Acchi aur buri taqdeer par ki wo Allah ki taraf se hai
- Maut ke baad dobara zinda hone par.
कोई टिप्पणी नहीं
एक टिप्पणी भेजें