Namaz mein Durud e Ibrahim ke baad padhne ki dua || Dua and Translation || Hinglish
Bismilahirrahmanirrahim.
Namaz mein Durud e Ibrahim ke baad padhne ki dua.
Abu Bakr Siddiq Radi Allahu Anhu ne Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam se kaha ki mujhe aisee dua sikha dijiye jo main namaz mein Parha karu to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ye Padha karo.
Dua in Arabic
اللَّهُمَّ إِنِّي ظَلَمْتُ نَفْسِي ظُلْمًا كَثِيرًا، وَلاَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلاَّ أَنْتَ،
فَاغْفِرْ لِي مَغْفِرَةً مِنْ عِنْدِكَ، وَارْحَمْنِي، إِنَّكَ أَنْتَ الْغَفُورُ الرَّحِيمُ
In Hinglish
Allahumma inni zalamtu nafsi zulman kasiran wala yagfirudh-zunuba illa anta, Fagfirli magfiratan min indika wa-arhamni, innaka antalGafur-ArRahim.
Tarjuma in Hinglish
E Allah maine Apni jaan par bahut zulm kiya hai aur gunahaon ko tere siwa koi maaf nahi kar sakta,
meri magfirt farma, aisee magfirat jo tere pass se ho aur mujh par raham kar beshak tu bada magfirt karne wala aur Raham karne wala hai-:Sahih Bukhari, Jild 7, 6326
कोई टिप्पणी नहीं
एक टिप्पणी भेजें