Tumhara Naam Musibat Mein Jab Liya Hoga Complete Lyrics
Tumhara Naam Musibat Mein Jab Liya HogaHamara Bigda Huwa Kaam Bann Gaya HogaGunahgaar Pe Jab Lutf Aapka HogaKiya Bagair Kiya Be-Kiya Kiya HogaKhuda Ka Lutf Huwa Hoga Dastageer ZaroorJo Girte Girte Tera Naam Le Liya HogaDikhayi Jayegi Mehshar Mein Shaan E MehboobiKe Aap Hi Ki Khushi Aapka Kaha HogaKhuda E Paak Ki Chahenge Agle Pichle KhushiKhuda E Paak Khushi Unki Chahta HogaKisi Ke Paanv Ki Bedi Ye Kaat-te HongeKoyi Aseer E Gham Unko Pukarta HogaKisi Taraf Se Sada Aayegi Huzoor AaoNahi To Damm Mein Ghareebo Ka Faysla HogaKisi Ke Palle Pe Ye Honge Waqt E Wazn E AmalKoyi Ummeed Se Muh Unnka Tak Raha HogaKoyi Kahega Duhayi Hai Ya RasoolAllahTo Koyi Thaam Ke Daman Machal Gaya HogaKisi Ko Le Ke Chalenge Firishte Suwe JaheemWoh Unka Raasta Phir Phir Ke Dekhta HogaShikashta Pa Hu Mere Haal Ki Khabar Kar DoKoyi Kisi Ye Ro Ro Ke Keh Raha HogaKhuda Ke Waaste Jald Unse Arz E Haal KaroKise Khabar Hai Ke Damm Bhar Mein Haaye Kya HogaPakad Ke Haath Koyi Haal E Dil SunayegaTo Ro Ke Qadmo(n) Se Koyi Lipat Gaya HogaZaban Sukhi Dikha Kar Koyi Lab E KausarJanaab E Paak Ke Qadmo Pe Gir Gaya HogaNishaan E Khushrave Di Door Ki Ghulamo KoLiwaye Hamd Ka Parcham Bata Raha HogaKoyi Qareeb E Tarazu Koyi Lab E KausarKoyi Siraat Se Unko Pukaarta HogaYe Beqaraar Karegi Sadaa Ghareebo KiMuqaddas Aankhon Se Taar Ashq Ka Bandha HogaWo Paak Dil Ke Nahi Jisko Apna AndeshaHujoom E Fiqr O Taraddud Mein Ghir Gaya HogaHazaar Jaan Fida Narm Narm Pau SePukaar Sun Ke Aseero(n) Ki Daudta HogaAzeez Bachhe Ko Maa(n) Jis Tarah Talaash KareKhuda Gawah Wahi Haal Aapka HogaKhudayi Bhar Inhi Haathon Ko Dekhti HogiZamana Bhar Inhi Qadmo(n) Pe Laut-ta HogaBani Hai Damm Pe Duhayi Hai Taaj Waale KiYe Ghul Ye Shour Ye Hungame Ja-Ba-Ja HogaMaqaam Faasilo(n) Par Kaam Mukhtalif ItneYe Din Zuhoor E Kamaal E Huzoor Ka HogaKahenge Aur Nabi "Iz Habu Ila Gayri"Mere Huzoor Ke Lab Par "Ana Laha" HogaDua E Ummate Badkaar Wird E Lab HogiKhuda Ke Saamne Sajdeh Mein Sarr Jhuka HogaGhulam Unki Inayat Se Chayn Mein HongeAduu Huzoor Ka Aafat Mein Mubtala HogaMain Unke Dar Ka Bhikari Hu Fazl E Maula SeHasan Faqeer Ka Jannat Mein Bistara Hoga
कोई टिप्पणी नहीं
एक टिप्पणी भेजें