नात शरीफ़ हिन्दी में लिखा हुआ |

नातों का गुलदस्ता - यह ब्लॉग विशेष रूप से नात शरीफ पढ़ने के शौकीन के लिए बनाया गया है|

Tumhara Naam Musibat Mein Jab Liya Hoga Complete Lyrics

 

Tumhara Naam Musibat Mein Jab Liya Hoga
Hamara Bigda Huwa Kaam Bann Gaya Hoga

Gunahgaar Pe Jab Lutf Aapka Hoga
Kiya Bagair Kiya Be-Kiya Kiya Hoga

Khuda Ka Lutf Huwa Hoga Dastageer Zaroor
Jo Girte Girte Tera Naam Le Liya Hoga

Dikhayi Jayegi Mehshar Mein Shaan E Mehboobi
Ke Aap Hi Ki Khushi Aapka Kaha Hoga

Khuda E Paak Ki Chahenge Agle Pichle Khushi
Khuda E Paak Khushi Unki Chahta Hoga

Kisi Ke Paanv Ki Bedi Ye Kaat-te Honge
Koyi Aseer E Gham Unko Pukarta Hoga

Kisi Taraf Se Sada Aayegi Huzoor Aao
Nahi To Damm Mein Ghareebo Ka Faysla Hoga

Kisi Ke Palle Pe Ye Honge Waqt E Wazn E Amal
Koyi Ummeed Se Muh Unnka Tak Raha Hoga

Koyi Kahega Duhayi Hai Ya RasoolAllah
To Koyi Thaam Ke Daman Machal Gaya Hoga

Kisi Ko Le Ke Chalenge Firishte Suwe Jaheem
Woh Unka Raasta Phir Phir Ke Dekhta Hoga

Shikashta Pa Hu Mere Haal Ki Khabar Kar Do
Koyi Kisi Ye Ro Ro Ke Keh Raha Hoga

Khuda Ke Waaste Jald Unse Arz E Haal Karo
Kise Khabar Hai Ke Damm Bhar Mein Haaye Kya Hoga

Pakad Ke Haath Koyi Haal E Dil Sunayega
To Ro Ke Qadmo(n) Se Koyi Lipat Gaya Hoga

Zaban Sukhi Dikha Kar Koyi Lab E Kausar
Janaab E Paak Ke Qadmo Pe Gir Gaya Hoga

Nishaan E Khushrave Di Door Ki Ghulamo Ko
Liwaye Hamd Ka Parcham Bata Raha Hoga

Koyi Qareeb E Tarazu Koyi Lab E Kausar
Koyi Siraat Se Unko Pukaarta Hoga

Ye Beqaraar Karegi Sadaa Ghareebo Ki
Muqaddas Aankhon Se Taar Ashq Ka Bandha Hoga

Wo Paak Dil Ke Nahi Jisko Apna Andesha
Hujoom E Fiqr O Taraddud Mein Ghir Gaya Hoga

Hazaar Jaan Fida Narm Narm Pau Se
Pukaar Sun Ke Aseero(n) Ki Daudta Hoga

Azeez Bachhe Ko Maa(n) Jis Tarah Talaash Kare
Khuda Gawah Wahi Haal Aapka Hoga

Khudayi Bhar Inhi Haathon Ko Dekhti Hogi
Zamana Bhar Inhi Qadmo(n) Pe Laut-ta Hoga

Bani Hai Damm Pe Duhayi Hai Taaj Waale Ki
Ye Ghul Ye Shour Ye Hungame Ja-Ba-Ja Hoga

Maqaam Faasilo(n) Par Kaam Mukhtalif Itne
Ye Din Zuhoor E Kamaal E Huzoor Ka Hoga

Kahenge Aur Nabi "Iz Habu Ila Gayri"
Mere Huzoor Ke Lab Par "Ana Laha" Hoga

Dua E Ummate Badkaar Wird E Lab Hogi
Khuda Ke Saamne Sajdeh Mein Sarr Jhuka Hoga

Ghulam Unki Inayat Se Chayn Mein Honge
Aduu Huzoor Ka Aafat Mein Mubtala Hoga

Main Unke Dar Ka Bhikari Hu Fazl E Maula Se
Hasan Faqeer Ka Jannat Mein Bistara Hoga

कोई टिप्पणी नहीं

Blogger द्वारा संचालित.