Header Ads

Header ADS

Kafan Pehnane Ka Tarika: Mard Aur Aurat Ke Kafan Ke Ahkaam

Kafan Pehnane Ka Tarika ( कफ़न पहनाने का तरीक़ा )


Kafan Pehnane Ka Tarika: Mard Aur Aurat Ke Kafan Ke Ahkaam

Islam me kisi bhi musalman ke inteqal ke baad use ghusl dena aur kafan pehnana Farz-e-Kifaya (फर्ज़-ए-किफ़ाया) hai. Kafan dena mayyit ki izzat aur parda-poshi ka zariya hai.

Prophet Muhammad (ﷺ) ne farmaya:

مَنْ كَفَّنَ مَيِّتًا كَسَاهُ اللَّهُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ مِنْ سُنْدُسٍ وَإِسْتَبْرَقٍ

Jo kisi mayyat ko kafan pehnata hai, Allah use Qiyamat ke din jannat ka resham aur barq pehnayega. 
(Sunan al-Kubra)

Aaiye vistar se samajhte hain ki mard aur aurat ke kafan me kitne kapde hote hain aur kafan pehnane ka masnoon tarika kya hai.

Kafan Ke Kitne Darje Hote Hain?

Kafan ke mukhya roop se 3 darje hote hain:

Kafan-e-Sunnat (सुन्नत): Jo sabse behtar aur masnoon tarika hai.
Kafan-e-Kifayat (किफ़ायत): Jo majboori ya zaroorat ke waqt kaafi hota hai.
Kafan-e-Zaroorat (ज़रूरत): Jo bhi paak kapda mayssar aaye, kam se kam itna ho ki poora badan dhak jaye. (Ref: Fatawa Alamgiri)
Mard Aur Aurat Ke Kafan Ke Kapde (Kafan Ka Bayan)
Mard Ke Liye Kafan:
Kafan-e-Sunnat (3 Kapde):
* Lifafa (Lifafa / Badi Chadar)
* Izar (Izar / Tehband)
* Qamees (Kafni / Qamees)
Kafan-e-Kifayat (2 Kapde): Lifafa aur Izar.

Aurat Ke Liye Kafan:
1. Kafan-e-Sunnat (5 Kapde):
* Lifafa
* Izar
* Qamees
* Odhni (Siniya / Dupatta)
* Seena-Band (Seena Dhakne Ka Kapda)
Kafan-e-Kifayat (3 Kapde): Lifafa, Izar, aur Odhni (ya Lifafa, Qamees, aur Odhni).
Step-by-Step Kafan Pehnane Ka Masnoon Tarika
१. Dhuni Dena Aur Kapde Bichana
* Mayyit ko ghusl ke baad kisi saaf kapde se aahista se poonch lein taaki kafan geela na ho.
* Kafan ko 1, 3, 5 ya 7 baar khushboo (dhuni) dein (is se zyada nahi).
*Sabse pehle badi chadar (Lifafa) bichayein, uske upar Izar (Tehband), aur phir Kafni/Qamees rakhein.

2. Mayyit Ko Lita Na Aur Khushboo Lagana
*Mayyit ko kafan par lita kar Kafni pehnayein.
*Daadhi aur tamam badan par khushboo mlein.
*Mawazi-e-Sujud (Sajde ke aaza: Maatha, Naak, Haath, Ghutne, aur Qadam) par Kaafur (Camphor) lagayein.

3. Izar Aur Lifafa Lapetna
Izar Lapetna: Pehle baayein (left) taraf se, phir daayein (right) taraf se lapetein.
Lifafa Lapetna: Pehle baayein taraf se, phir daayein taraf se lapetein taaki daahina hissa upar rahe.
Sar aur paon ki taraf se kafan ko baandh dein taaki udne ka darr na rahe.
Aurat Ke Kafan Ka Khas Tarika
Aurat Ke Kafan Ka Khas Tarika
* Baal: Aurat ke balon ke 2 hisse karke Kafni ke upar seena par daal dein.

*Odhni: Odhni ko aadhi peeth ke niche se bichha kar sar par laayein aur muh par niqab ki tarah daal dein (seena par rahe).

**Note: Odhni ko aam zindagi ki tarah udhana khilaaf-e-sunnat hai.
*Seena-Band: Izar aur Lifafa lapetne ke baad sabse upar Seena-Band ko pistan (chest) ke upar se le kar ran (thighs) tak laa kar baandhein.


कोई टिप्पणी नहीं

Blogger द्वारा संचालित.