Sab Ke Bas Ki Baat Nahi ।। In Hinglish।। Naat Lyrics
Hafiz-O-Quari Alim-O-Mufti, Koyi Bhi Ban Sakta Hain.
Mufti-E-Aazam Ban Ke Dikhana, Sabke Bas Ki Baat Nahi.
Mere Raza Saa Murshid Hona Sab Ke Bas Ki Baat Nahi.
Laakhon Musannif Pichhli Sadi Mein Aaye The, Aur Aayenge.
Lekin Kanz-Ul-Imaan Likhna, Sab Ke Bas Ki Baat Nahi.
Mere Raza Saa Murshid Hona Sab Ke Bas Ki Baat Nahi.
Un Ka Fataawa Razawiyya Hai Dekho, Taitees Jildon Mein.
Itne Saare Fataawe Likhna, Sab Ke Bas Ki Baat Nahi.
Mere Raza Saa Murshid Hona, Sab Ke Bas Ki Baat Nahi.
Charo Taraf Hain Najdi Wahabi, Bich Me Tanha Mera Raza.
Aese Me Islam Bachana, Sabke Bas Ki Baat Nahi.
Mere Raza Saa Murshid Hona Sab Ke Bas Ki Baat Nahi.
Jin Ko Bai'At Kar Ke Murshid Khud Hi Un Par Naaz Kare.
Aisa Mureed-e-Saadiq Ban'na, Sab Ke Bas Ki Baat Nahi.
Mere Raza Saa Murshid Hona Sab Ke Bas Ki Baat Nahi.
Shauq-e-Fareedi ! Un Ka Rutba Meri Fikar Se Bar-Tar Hai.
Un Ki Shaan-o-'Azmat Likhna Sab Ke Bas Ki Baat Nahi.
www.naatlikho.blogspot.com
हमें आपकी सहायता की आवश्यकता है। हमारी हौसला अफजाई करने के लिए। पोस्ट को लाइक, कमेंट और शेयर करें। धन्यवाद।
👍💬♻️👍💬♻️👍💬♻️👍💬♻️👍💬♻️👍💬♻️👍💬♻️👍💬♻️👍💬♻️👍💬♻️
ہمیں آپ کی مدد کی ضرورت ہے۔ ہماری حوصلہ افزائی کرنا۔ پوسٹ کو لائک ، کمنٹ اور شئیر کریں۔ ہمیں آپ کی مدد کی ضرورت ہے۔ ہماری حوصلہ افزائی کرنا۔ پوسٹ کو لائک ، کمنٹ اور شئیر کریں۔ شکریہ
👍💬♻️👍💬♻️👍💬♻️👍💬♻️👍💬♻️👍💬♻️👍💬♻️👍💬♻️👍💬♻️👍💬♻️
We need your help. To encourage us. Like, comment and share the post. Thank you.
👍💬♻️👍💬♻️👍💬♻️👍💬♻️👍💬♻️👍💬♻️👍💬♻️👍💬♻️👍💬♻️👍💬♻️